giitaayan An Interface to ISB

ek dharatii hai ek hai gagan - Adhikar (1954)  

Lyrics: Neelkanth Tiwari | Music: Avinash Vyas | Singer(s): Meena Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
ek dharatii hai ek hai gagan ek man meraa ek hai lagan, o sajan jitane ambar me.n hai.n taare saajan mere sa.ng jitane nyaare aa aa mere naino.n me.n utane khile sapan, o sajan ek dharatii hai ek hai gagan ek man meraa ek hai lagan, o sajan o o chandaa torii mai.n huu.N chakorii janam janam kaa naataa pyaar hamaaraa roz gagan me.n taaro.n ke diip jalaataa aa aa in taaro.n me.n chamake man kii agan, o sajan ek dharatii hai ek hai gagan ek man meraa ek hai lagan, o sajan chaahe TooTe jiivan biina chaahe TooTe taar piyaa lekin kabhii na TooTe man kii madhur madhur jhanakaar piyaa o o piyaa chhoTe na apanaa ye bandhan, o sajan ek dharatii hai ek hai gagan ek man meraa ek hai lagan, o sajan
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.