giitaayan An Interface to ISB

jab dukh kii gha.Diyaa.N aaye.n ... buddham sharaNam gachchhaami - Angulimaal (1960)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: Anil Biswas | Singer(s): Manna Dey, Asha?, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
Part 1 ma: buddham saraNam gachchhaamii, dham{}mam saraNam gachchhaamii, sa.ngham saraNam gachchhaamii. ghabaraae jab man anamol, hRiday ho uThe Daa.NvaaDol, ghabaraae jab man anamol, aur hRiday ho Da.NvaaDol, tab maanav tuu mukh se bol, buddham saraNam gachchhaamii. jab ashaa.nti kaa raag uThe, laal lahuu kaa phaag uThe, hi.nsaa kii vo aag uThe, maanav me.n pashu jaag uThe, uupar se muskaate nar, bhiitar zahar rahe.n ho.n ghol. tab maanav tuu mukh se bol, buddham saraNam gachchhaamii. % Part 2 jab duHkh kii gha.Diyaa.N aa_e.N sach par jhuuTh vijay paa_e is nirmal paavan man par jab kala.nk ke ghan chhaa_e.N anyaayo.n kii aa.Ndhii me.n kaan uThe jab tere Dol % Part 3 % Female Voice ruuTh gayaa jab sun ne vaalaa kis se karuu.N pukaar pyaar kahaa.N pahachaan sakaa ye ye nirday sa.nsaar ma: nirdayataa jab le le dhaam daya hu_ii ho antaryaam jab ye chhoTaa saa i.nsaan bhuul rahaa apanaa bhagavaan satya teraa jab ghabaraa_e shradhdhhaa ho jab Daa.NvaaDol % Part 4 jab duniyaa se pyaar uThe, nafarat kii diivaar uThe, maa.N ki mamataa par jis din, beTe kii talawaar uThe, dharatii kii kaayaa kaa.Npe, a.nbar Dagamag uThe Dol, tab maanav tuu mukh se bol, buddham saraNam gachchhaamii. % Part 5 duur kiyaa jis ne jan-jan ke vyaakul man kaa a.ndhiyaaraa, jisakii ek kiran ko chhuukar chamak uThaa ye jag saaraa, diip saty kaa sadaa jale, dayaa ahi.nsaa sadaa phale, sukh shaa.nti kii chhaayaa me.n jan-gan-man kaa prem pale, bhaarat ke bhagawaan buddha kaa guu.nje ghar-ghar ma.ntr amol, he maanav nit mukh se bol, buddham saraNam gachchhaamii.
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.