giitaayan An Interface to ISB

diivaane tum diivaane ham - Bezuban (1962)  

Lyrics: Prem Dhawan | Music: Chitragupt | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
diivaane tum diivaane ham kise hai Gam kyaa kahe ye zamaanaa vahii hai dil vahii hai.n ham magar nazar me.n nayaa hai fasaanaa naye a.ndaaz liye aa_ii hai ye raat na_ii zaraa saa chhe.D bhii do aaj ko_ii baat na_ii na_ii mehafil na_ii halachal hai kahaa.N ham jaane naa diivaane tum diivaane ham ... yahaa.N nazaro.n me.n ka_ii ra.ng bhare daur chale phir bhii pyaas kahe daur zaraa aur chale jalii shamaa uThe shole jale kyo.n paravaane naa diivaane tum diivaane ham ... nahii.n hai hosh me.n vo hosh kii jo baat kahe nashe me.n jhuume.n chalo ha.Nsatii hu_ii raat kahe ko_ii kitanaa hame.n roke.n ruke.nge mastaane naa diivaane tum diivaane ham ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.