% \startsong \stitle{kuchh naa kaho, kuchh bhii naa kaho}% \film{1942 A Love Story}% \year{1994}% \starring{Anil, Jackie, Manisha}% \singer{Kumar Sanu, Lata}% \music{R D Burman}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Contributor: % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Amit Agarwal (aagarwal@leland.stanford.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % kuchh naa kaho, kuchh bhI naa kaho kyaa kahanaa hai, kyA sunanaa hai mujhako pataa hai, tumako pataa hai samay kaa ye pal, tham saa gayaa hai aur is pal me.n koI nahii.n hai bas ek mai.n huu.N bas ek tum ho shaanU: kitane gahare halke, shaam ke ra.ng hai.n chhalake parvat se yuu.N utare baadal jaise aa.Nchal Dhalake sulagii sulagii saa.Nse.n bahakii bahakii dha.Dakan mahake mahake shaam ke saaye, pighale pighale tan man lataa: khoe sab pahachaane khoe saare apane samay kii chhalanii se gir girake, khoe saare sapane hamane jab dekhe the, sundar komal sapane phuul sitaare parvat baadal sab lagate the apane % #endindian \endsong %