% \startsong \stitle{vo tiir kaleje par ik shoK ne maaraa hai}% \film{Anjuman}% \year{1948}% \starring{Nargis, Jayraj, Anwar Husain, Neelam, Raj Rani, Anwaribai}% \singer{Mukesh}% \music{Bulo C Rani}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11371 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: This lyrics were printed in Listeners' Bulletin Vol #46 under Geetanjali #36 % \printtitle #indian % vo tiir kaleje par ik shoK ne maaraa hai har dard me.n tasqii.n hai har Gam hame.n pyaaraa hai vah jinake tasavvur se roshan hai merii duniyaa hai chaa.Nd Kyaalo.n kaa aa.Nkho.n kaa sitaaraa hai daaman ko bachaa lenaa yah kaam hai duniyaa kaa ham dil ko jalaa de.nge yah kaam hamaaraa hai allaah hai.n vah nazare.n ab jinake ishaare par jiinaa bhii gavaaraa hai maranaa bhii gavaaraa hai % #endindian \endsong