% \startsong \stitle{kyaa miliye aise logo.n se, jinakii fitarat chhupii rahe}% \film{Izzat}% \year{1968}% \starring{}% \singer{Rafi}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % kyaa miliye aise logo.n se, jinakii fitarat chhupii rahe nakalii cheharaa saamane aae, asalii suurat chhupii rahe khud se hii jo khud ko chhupaae, kyaa unase pahachaan kare.n kyaa unake daaman se lipaTe.n, kyaa unakaa aramaan kare.n jinakii aadhii niiyat ubhare, aadhii niiyat chhupii rahe, nakalii \threedots diladaarii kaa Dho.ng rachaakar, jaal bichhaae baato.n kaa jiite jii kaa rishtaa kahakar, sukh Dhuu.NDhe kuchh raato.n kaa ruuh kii hasarat lab pe aae, jism kii hasarat chhupii rahe, nakalii \threedots % #endindian \endsong %