% \startsong \stitle{meraa naam abdul rahamaan pistaa vaalaa}% \film{Bhaai Bhaai}% \year{1956}% \starring{Ashok Kumar, Nirupa Roy, Kishore, Shyama, Nimmi}% \singer{Kishor, Lata}% \music{Madan Mohan}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10557 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % ki \: meraa naam abdul rahamaan pistaa vaalaa mai.n huu.N paThaan khaane vaale kaa dil hotaa gul\-gul vaah re vaah\-vaah lo jii bhaa_ii saahab hamaaraa pistaa bahut achchhaa lo jii mem saahab hamaaraa pistaa bahut achchhaa khaa ke dekho ##very very good## meraa chaaralii baadaam pistaa la \: abdul rahamaan kii mai.n abdul rahamaniyaa yahii meraa sonaa\-chaa.Ndii yahii merii duniyaa Kush huu.N mai.n chaahe mujhe rakhe jis haal me.n ba.ngale me.n koThii me.n yaa TuuTii\-phuuTii chaal me.n chaa.Nd hai ye meraa mai.n huu.N isakii cha.ndaniyaa hinduu khaa_e muslim khaa_e khaa_e sikh iisaa_ii meraa pistaa khaane vaale hindii bhaa_ii\-bhaa_ii ma.ndir ho maszid ho yaa sikho.n kaa gurudvaaraa sabako allaah kaa ghar samajhe kaabul kaa banjaaraa ki \: lo bhaa_ii pistaa lo baadaam achchhaa maal aur sastaa daam apanii jaanii duniyaa faanii baaqii hai allaah kaa naam meraa naam abdul rahamaan \threedots % #endindian \endsong