% \startsong \stitle{ek Daal par totaa bole ek Daal par mainaa}% \film{Chor Machaaye Shor}% \year{1974}% \starring{Shashi Kapoor, Mumtaz}% \singer{Rafi, Lata}% \music{Ravindra Jain}% \lyrics{Indrajeet Singh Tulsi}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10313 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % ra \: ( ek Daal par totaa bole ) \-2 ek Daal par mainaa duur\-duur baiThe hai.n lekin pyaar to phir bhii hai naa bolo hai naa hai naa hai naa la \: o o o o ek Daal par totaa bole ek Daal par mainaa mai.n tere naino.n kii ni.ndiyaa tuu mere dil kaa chainaa bolo hai naa hai naa hai naa do \: ek Daal par totaa bole la \: ye kyaa mujhako ho gayaa saajan kabhii ro_uu.N kabhii gaa_uu.N pe.D se lipatii bel jo dekhuu.N laaj se mar\-mar jaa_uu.N ra \: ye paagalapan kaisaa kab se ho gayaa aisaa la \: bin batalaa_e samajho saajan aaj nahii.n kuchh kahanaa bolo hai naa hai naa hai naa do \: ek Daal par totaa bole \threedots ra \: aa.Ndhii aa_e tuufaa.N aa_e yaa barase.n barasaate.n ik duuje ke ho jaa_e.n ham Katm na ho din\-raate.n la \: ( Katm na ho din\-raate.n ) \-2 ( miiThii pyaar kii baate.n ) \-2 ra \: ho.nTh agar Kaamosh rahe.n to bol uThe.nge nainaa bolo hai naa hai naa hai naa do \: ek Daal par totaa bole \threedots la \: janam\-janam kii pyaas re saajan pal me.n bujhegii kaise jiivan bhar ye sa.ng na chhuuTe a.ng lagaa lo aise ra \: aa mil jaa_e.N aise saagar nadiyaa jaise do \: siikh liyaa hai pyaar me.n hamane miTakar zindaa rahanaa bolo hai naa hai naa hai naa ek Daal par totaa bole \threedots % #endindian \endsong