% \startsong \stitle{sapano.n ke des me.n ... to maine kahaa haa.n haa.n ye pyaar hai}% \film{Dillagi}% \year{1999}% \starring{Sunny Deol, Bobby Deol, Urmila Matondkar}% \singer{Abhijit}% \music{Jatin Lalit}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % sapano.n ke des me.n palako.n kii chhaa.nv me.n pyaar ke naam kaa vo jo ik mo.D hai haa.n usii mo.D par maine dekhaa tumhe.n to mujhako lagaa tum to khilatii kalii tum ho cha.nchal kiran chhalakii chhalakii nadii mahakaa mahakaa chaman tumase hai taazagii tumase hai zi.ndagii to maine kahaa haa.n haa.n ye pyaar hai aur ab to khulake mujhako ikaraar hai mai.n diivaanaa huu.n mujhe pyaar hai sun le dilarubaa mai.n to hairaan huu.n kyaa kahuu.n kyaa karuu.n zulf yaa raat hai cheharaa yaa chaa.Ndanii ho.nTh yaa phuul hai.n baat yaa raaginii kise hai pataa ai hasii.n ai hasii.n dilarubaa dilanashii.n mere dil me.n hai kyaa tum nahii.n jaanatii.n kabase Kaamosh huu.n sochataa huu.n kahuu.n jo naa kah saka haa.n haa.n ye pyaar hai \threedots % #endindian \endsong