% \startsong \stitle{aap aa jaa_e.N to ... duniyaa me.n aisaa kahaa.N sabakaa nasiib hai}% \film{Devar}% \year{1966}% \starring{Dharmendra, Sharmila Tagore, Devan Verma}% \singer{Lata}% \music{Roshan}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10492 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: Based on novel "naa" by Tarashankar Bandhopadhyaya % \printtitle #indian % aap aa jaa_e.N to dil ko qaraar aa jaa_e duniyaa me.n aisaa kahaa.N sabakaa nasiib hai ko_ii\-ko_ii apane piyaa ke kariib hai duniyaa me.n aisaa \threedots duur hii rahate hai.n unase kinaare jinako na ko_ii maa.Njhii paar utaare \-2 saath hai maa.Njhii to kinaaraa bhii kariib hai duniyaa me.n aisaa \threedots chaahe bujhaa de ko_ii diipak saare priit bichhaatii jaa_e raaho.n me.n taare \-2 priit diivaanii kii kahaanii bhii ajiib hai duniyaa me.n aisaa \threedots barakhaa kii rut ho yaa din ho.n bahaar ke lagate hai.n suune\-suune bin tere pyaar ke \-2 tuu hai to zindagii ko zindagii nasiib hai duniyaa me.n aisaa \threedots % #endindian \endsong