% \startsong \stitle{mai.n ne piinaa siikh liyaa}% \film{Goonj Uthi Shehnaai}% \year{1959}% \starring{Rajendra Kumar, Ameeta, Anita Guha}% \singer{Rafi}% \music{Vasant Desai}% \lyrics{Bharat Vyas}% % % Contributor: Sanjeev Ramabhadran % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 06/12/1996 % \printtitle #indian % mai.n ne piinaa siikh liyaa \-2 paap kaho yaa puNya kaho mai.n ne piina siikh liyaa ek chhavi thii laakho.n me.n, aan basii in aa.Nkho.n me.n ek kali muskaaii thii, man bhaure.n ko bhayii thii (???) ek din pyaar kaa phuul khilaa, mere sur koo giit milaa kismat laaii ra.Ng naye, sur chhuuTe aur giit gaye biich bha.nvar tuune chho.Daa, mere prem se mu.Nh mo.Daa pyaar pe aisaa vaar kiyaa, uff jiinaa, uff jiinaa dushvaar kiyaa ab sharaab ne saath diyaa to, tujh bin jiina siikh liyaa mai.n ne piinaa siikh liyaa \threedots log kahe.n kyo.n piite ho, man kahataa kyo.n jiite ho jiine kii koii chaah nahii.n, marane kii koii raah nahii.n jiivan hai jab rog yahaa.N, bolo isakii davaa kahaa.N pyaar ke jaan na piite ham, khokar hosh na paate Gam hamane ma.nzil Dhuu.NDhii thii, lekin qismat ruuThii thii raah me.n saathii chhuuT gayaa, Thes lagii dil TuuT gayaa ab to inhii nashe ke dhaago.n, se dil siinaa siikh liyaa mai.n ne piinaa siikh liyaa \threedots % #endindian \endsong %