% \startsong \stitle{ham aapake hai.n hamase to paradaa na kiiji_e}% \film{Guru Ghantaal}% \year{1956}% \starring{Motilal, Sheela Ramani, Usha Kiran, Agha}% \singer{Rafi, Asha}% \music{Lachchhi Ram}% \lyrics{Khaawar Zamaan}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10826 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: Ashok Dhareshwar % \printtitle #indian % ra \: ham aapake hai.n hamase to paradaa na kiiji_e aa \: ham ruuTh jaa_e.Nge hame.n chhe.Daa na kiiji_e ra \: ik baat merii gaur se sun liiji_e huzuur aa \: faramaa_i_e faramaa_i_e sun le.nge ham zaruur ra \: tirachhii nigaah se hame.n dekhaa na kiiji_e ham aapake hai.n \threedots kyaa jhuuTh\-muuTh baate.n banaane se faayadaa aa \: baiThe biThaa_e hamako sataane se faayadaa ra \: yuu.N baat\-baat par ajii ruuThaa na kiiji_e ham aapake hai.n \threedots aa \: Dar hai ki zamaanaa kahii.n majabuur na kar de is pyaar kii duniyaa se kahii.n duur na kar de ra \: in chhoTii\-chhoTii baato.n ko sochaa na kiiji_e ham aapake hai.n \threedots % #endindian \endsong