% \startsong \stitle{abhimanyuu chakravyuuh me.n pha.ns gayaa hai tuu}% \film{Inquilaab}% \year{1984}% \starring{Amitabh Bachchan, Sridevi, Kadar Khan, Utpal Dutt, Shakti Kapoor}% \singer{Kishor}% \music{Laxmikant Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % abhimanyuu \-2 abhimanyuu chakravyuuh me.n pha.ns gayaa hai tuu \-2 sambhal sake to sambhal nikal sake to nikal dushmano.n ke jaal se dosto.n kii chaal se sambhal sake to sambhal \threedots ye khudagarz darinde hai.n inako kuchh ehasaas nahii.n ashqo.n se bujhane vaalii inake dil kii pyaas nahii.n ye piye.nge teraa lahuu abhimanyuu chakravyuuh me.n \threedots bhuul bhulaiyo.n ke jaise tere gird lakiire.n hai.n ho.nTho.n par hai.n pahare to pairo.n me.n za.njiire.n hai.n mushkile.n kha.Dii hai.n chaar suu abhimanyuu chakravyuuh me.n \threedots o bhole bhaale paxii qaid se kaise chhuuTegaa sar Takaraa le kuchh kar le ye pi.njaraa na TuuTegaa la.Dane kii tuu naa kar aarazuu abhimanyuu chakravyuuh me.n \threedots % #endindian \endsong