% \startsong \stitle{diivaanaa aadamii ko banaatii hai.n roTiyaa.N}% \film{Kaali Topi Laal Roomaal}% \year{1959}% \starring{Chandrashekhar, Shakeela, Kumkum, Agha, K N Singh}% \singer{Rafi}% \music{Chitragupt}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10129 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % diivaanaa aadamii ko banaatii hai.n roTiyaa.N \-2 khud naachatii hai.n sabako nachaatii hai.n roTiyaa.N \-2 diivaanaa aadamii ko \threedots buu.Dhaa chalaa_e Thele ko phaako.n se jhuul ke \-2 bachchaa uThaa_e bojh khilauno.n ko bhuul ke \-2 ( dekhaa na jaa_e jo ) \-2 so dikhaatii hai.n roTiyaa.N \-2 diivaanaa aadamii ko \threedots baiThii hai jo chehare pe mal ke jigar kaa Kuu.N duniyaa buraa kahe inhe.n par mai.n to ye kahuu.N \-2 koThe pe baiTh o koThe pe baiTh aa.Nkh la.Daatii hai.n roTiyaa.N \-2 diivaanaa aadamii ko \threedots kahataa thaa ik faqiir ki rakhanaa zaraa nazar roTii ko aadamii hii nahii.n khaate beKabar \-2 ( aksar to aadamii ko ) \-2 khaatii hai.n roTiyaa.N \-2 diivaanaa aadamii ko \threedots tujhako pate kii baat bataa_uu.N mai.n jaan\-e\-man kyuu.N chaa.Nd par pahu.Nchane kii insaa.n ko hai lagan \-2 ( insaa.n ko chaa.Nd me.n ) \-2 nazar aatii hai.n roTiyaa.N \-2 diivaanaa aadamii ko \threedots % #endindian \endsong