% \startsong \stitle{bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa}% \film{Khel}% \year{1950}% \starring{Nigar, Dev Anand, Hafeez Jahaan, Anwarm Murad}% \singer{Lata}% \music{Sajjad Husain}% \lyrics{Shams Azimabadi}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11889 [V S Rawat] % % Song courtesy: http://www.indiascreen.com (Late Shri Amarjit Singh) % \printtitle #indian % bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa kisii se dil lagaanaa phir na aayegaa palaT kar wo zamaanaa wo sapanaa thaa suhaanaa ( yaad aatii hai.n tujhe ab kyuu.N wo raate.n pyaar kii aur wo baate.n pyaar kii ) \-2 bhuul jaa ulafat ke miiThe giit gaanaa wo sapanaa thaa suhaanaa bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa kisii se dil lagaanaa teraa gulashan luT gayaa \-2 teraa nasheman jal gayaa haay jal gayaa din Kushii kaa Dhal gayaa ab wo gulashan hai naa ab wo aashiyaanaa wo sapanaa thaa suhaanaa bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa kisii se dil lagaanaa ( ab to saari zindagii aa.Nsuu bahaanaa hai tujhe dil jalaanaa hai tujhe ) \-2 ab kahaa.N qisamat me.n terii muskuraanaa wo sapanaa thaa suhaanaa bhuul jaa ai dil muhabbat kaa fasaanaa kisii se dil lagaanaa % #endindian \endsong