% \startsong \stitle{melaa dilo.n kaa aataa hai ik baar}% \film{Melaa}% \year{1999}% \starring{Aamir Khan, Twinkle Khanna, Faizal Khan, Johny Lever}% \singer{Sonu Nigam, Alka Yagnik, Roop Kumar Rathod, Shankar Mahadevan, Jaspindar Narula}% \music{Rajesh Roshan}% \lyrics{Sameer}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % melaa dilo.n kaa aataa hai ik baar aake chalaa jaataa hai aate hai.n musaafir jaate hai.n musaafir jaanaa hii hai unako kyo.n aate hai.n musaafir melaa dilo.n kaa \threedots ha.Ns le gaa le ye din naa mile.nge kal tho.Dii khushiyaa.n hai.n tho.De se ye pal ek baar phir chalii jaa_e.n jo ye bahaare.n lauT kar naa aa_e.ngii gujarii bahaare.n melaa bahaaro.n kaa aataa hai ik baar aake chalaa jaataa hai aatii hai.n bahaare.n jaatii hai.n bahaare.n jaanaa hii hai unako kyo.n aatii hai.n bahaare.n melaa dilo.n kaa \threedots saajan ek tujh pe bharosaa hai is bhii.D me.n ek tuu hii meraa hai mausam badale badale zamaanaa vaadaa kiyaa jo vaadaa nibhaanaa hai haatho.n kii lakiire.n gaa_e.n ye taraanaa mar kar bhii ye rishtaa hai hamako nibhaanaa melaa dilo.n kaa \threedots aa_ii re javaanii jaise rut tuufaanii pagalii ye diivaanii mai.n kyaa karuu.n melaa javaanii kaa aataa hai ik baar aake chalaa jaataa hai aatii hai javaanii jaatii hai javaanii jaanaa hii hai usako kyo.n aatii hai javaanii melaa dilo.n kaa \threedots % #endindian \endsong