% \startsong \stitle{mohabbat ke suhaane din javaanii kii hasii.N raate.n}% \film{Maryaadaa}% \year{1971}% \starring{Rajesh Khanna, Mala Sinha}% \singer{Rafi}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11157 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: % \printtitle #indian % mohabbat ke suhaane din javaanii kii hasii.N raate.n judaa_ii me.n nazar aatii hai.n ye sab Kvaab kii baate.n mohabbat ke suhaane \threedots ye tanhaa_ii nahii.n thii is jagah thii pyaar kii mahafil tere Gam se gale milakar jahaa.N ab ro rahaa hai dil yahii.n ha.Ns\-ha.Ns ke hotii thii.n kabhii apanii mulaakaate.n mohabbat ke suhaane \threedots mere maayuus ho.nTho.n pe tere Gam kii kahaanii hai kahaanii ye nahii.n Gam kii ulfat kii nishaanii hai ye aa.Nsuu aur ye aahe.n mohabbat kii sauGaate.n mohabbat ke suhaane \threedots na aise dil ta.Dapataa thaa naa mai.n aise tarasataa thaa isii gulashan me.n dekho to kabhii saavan barasataa thaa isii vaadii me.n ab hone lagii.n ashqo.n kii barasaate.n mohabbat ke suhaane \threedots pataa mai.n puuchhataa phirataa huu.N teraa is zamaane se hu_aa kyaa haal is dil kaa tere ik duur jaane se janaaze ban ga_ii is dil ke aramaano.n kii baaraate.n mohabbat ke suhaane \threedots % #endindian \endsong