% \startsong \stitle{mai.n bha.Nvaraa tuu hai phuul ye din mat bhuul}% \film{Mela}% \year{1948}% \starring{Dilip Kumar, Nargis}% \singer{Mukesh, Shamshad}% \music{Naushad}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10641 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % mu \: mai.n bha.Nvaraa tuu hai phuul ye din mat bhuul javaanii lauT ke aa_e naa sha \: man gaa_e tere giit basaa kar priit mohe kuchh tujh bin bhaa_e naa mu \: tuu suuraj mai.n ujiyaaraa hai ab jiivan bhar kaa mel suno jii priit nahii.n hai khel sha \: yah jiivan mujhako pyaaraa ji_uu.N mai.n duniyaa ke dukh jhel o priitam aag se kheluu.N khel mu \: is dil kii hai dil se laag khule hai.n bhaag ye duniyaa hamako sataa_e naa do \: mai.n bha.Nvaraa tuu hai \threedots sha \: tuu meraa hai mai.n terii saajan mai.n raadhaa tuu shyaam japuu.N mai.n haradam teraa naam mu \: mai.n teraa huu.N tuu merii chale.nge priit kaa daaman thaam hame.n duniyaa se nahii.n hai kaam sha \: bedard hai yah sa.nsaar chale.n us paar jahaa.N dukh bhuul ke jaa_e naa do \: mai.n bha.Nvaraa tuu hai \threedots % #endindian \endsong