% \startsong \stitle{duniyaa me.n aayaa hai to phuul khilaa_e jaa}% \film{Mere Arman Mere Sapne}% \year{1963}% \starring{Pradeep Kumar, Kumari Naaz, Aseem Kumar, Jaishri Gadkar, Pran}% \singer{Rafi}% \music{N Dutta}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10294 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % duniyaa me.n aayaa hai to phuul khilaa_e jaa aa.Nsuu kisii ke le ke Kushiyaa.N luTaa_e jaa chhoTii sii zindagii terii ha.Ns ke guzaar de apanii bigaa.D ke kisii kii sa.Nvaar de jo ho begaanaa yahaa.N apanaa banaa_e jaa aa.Nsuu kisii ke \threedots aayaa thaa pyaar se to jaanaa bhii pyaar se karanaa gilaa naaa kabhii jaan\-e\-bahaar se dil par jo biit rahii hai dil me.n chhupaa_e jaa aa.Nsuu kisii ke \threedots aaj terii aarazuu ban ga_ii daastaa.N phuulo.n pe aaj hotaa teraa bhii aashiyaa.N bujh ga_ii shamaa terii kisii kii jalaa_e jaa aa.Nsuu kisii ke \threedots % #endindian \endsong