% \startsong \stitle{sukh hai to gaanaa hai ... tum naa hoge ham na ho.nge}% \film{Prateekshaa}% \year{1992}% \starring{Govinda, Shilpa Shirodkar, Moushumi, Danny, Jeetendra, Vinod Mehra}% \singer{Kumar Sanu, Govinda}% \music{Rajesh Roshan}% \lyrics{Indivar}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % sukh hai to gaanaa hai duHkh hai to gaanaa hai tum naa hoge ham na ho.nge giit hii rah jaanaa hai aaj sajii vo mahafil kal jo afasaanaa hai tum naa hoge ham na \threedots yaad karo vo baate.n jo thaa sunaataa ko_ii dil se dil mil jaa_e.n ye thaa samajhaataa ko_ii usii saragam kaa hii sur huu.N mai.n dil par chhaa jaa_uu.Ngaa apane baap ke naam ko aur bhii roshan kar jaa_uu.Ngaa jo naa kiyaa hai ab tak vo karake dikhalaanaa hai tum naa hoge ham na \threedots % #endindian \endsong