% \startsong \stitle{pukaarataa chalaa huu.N mai.n}% \film{Mere Sanam}% \year{1965}% \starring{Biswajeet, Asha Parekh}% \singer{Rafi}% \music{O P Nayyar}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % pukaarataa chalaa huu.N mai.n galii galii bahaar kii bas ek chhaa.Nv zulf kii bas ik nigaah pyaar kii pukaarataa chalaa huu.N mai.n ye dillagii ye shokhiyaa.N salaam kii yahii.n to baat ho rahii hai kaam kii koI to mu.D ke dekh legaa is taraf koI nazar to hogii mere naam kii pukaarataa chalaa huu.N mai.n sunii merii sadaa to kis yaqiin se ghaTaa utar ke aa gayii zamiin pe rahii yahii lagan to ai dil\-e\-javaa.N asar bhii ho rahegaa ik hasiin pe pukaarataa chalaa huu.N mai.n % #endindian \endsong %