% \startsong \stitle{pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii}% \film{Saath Saath}% \year{1986}% \starring{Farooq Sheikh, Deepti Naval}% \singer{Jagjit Singh}% \music{Kuldeep Singh}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Contributor: Sridhar Narayanan (sridhar@math.mcgill.ca) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii mere haalat kii aa.ndhii me.n bikhar jaogii pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii ra.nj aur dard kii bastii kaa mai.n baashindaa huu.N ye to bas mai.n huu.N ke is haal me.n bhii zindaa huu.N khvaab kyuu.n dekhuu.N vo kal jisape mai.n sharmindaa huu.N mai.n jo sharmindaa huaa tum bhii to sharamaaogii pyaar mujhase jo kiyaa \threedots kyU.n mere saath koi aur pareshaan rahe merii duniyaa hai jo vIraan to vIraan rahe zindagii kaa ye safar tumako to aasaan rahe hamasafar mujhako banaogii to pachhataaogii pyaar mujhase jo kiyaa \threedots ek mai.n kyaa abhii aaye.nge dIvaane kitane abhii gU.njege muhabbat ke taraane kitane zindagii tumako sunaayegii fasaane kitane kyU.n samajhatii ho mujhe bhuul nahii paaogii pyaar mujhase jo kiyaa \threedots % #endindian \endsong %