% ITRANS SONG \startsong \stitle{ai chaa.Nd na itaraanaa, aate hai.n mere sajan}% \film{Man Ki Jeet}% \year{1944}% \starring{Neena, Geeta Nizami, Shyam, Anwar Husain, Shanta Thakkar}% \singer{Sitara Kanpuri}% \music{S K Pal}% \lyrics{Bharat Vyas}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 7, 2004 \printtitle #indian ai chaa.Nd ai chaa.Nd na itaraanaa ai chaa.Nd na itaraanaa, aate hai.n mere sajan aate hai.n mere sajan, sajan aate hai.n mere sajan sajan se chhip jaanaa ai chaa.Nd na itaraanaa tuu teraa goraa badan, mere gore sajan saajan se na baazii lagaanaa kaun sundar hai bol mere priitam yaa tuu hai hamako yahii aazamaanaa ai chaa.Nd na itaraanaa sun apanii kahaanii merii zabaanii apanii kahaanii merii zabaanii isako na tum bhuul jaanaa jab iishwar ne dono.n kaa karane wajan \-2 do pala.Do.n me.n dono.n ko Daalaa ek pala.De me.n tuu, duuje me.n sajan \-2 taraazuu ko jyuu.Nhii uThaayaa taraazuu ko jyuu.Nhii uThaayaa jo halkaa thaa wo uTh gayaa uupar \-2 jo bhaarii thaa wo niiche aayaa haa.N jo bhaarii thaa wo niiche aayaa wo meraa hai chaa.Nd, sundar hai chaa.Nd wo meraa hai chaa.Nd, tuu jo sundar hai chaa.Nd tuu man hii me.n na bhuul jaanaa ai chaa.Nd na itaraanaa aate hai.n mere sajan aate hai.n mere sajan sajan aate hai.n mere sajan sajan se chhip jaanaa ai chaa.Nd #endindian \endsong