% ITRANS SONG \startsong \stitle{aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye}% \film{The Finest Ghazals of Mehdi Hassan (Non-Film)}% \year{1985}% \starring{}% \singer{Mehdi Hasan}% \music{Pt Ghulam Qadir}% \lyrics{Faiz Ahmed Faiz}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 \printtitle #indian aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye usake baad aaye jo azaab aaye baam\-e\-miinaa se maahataab utare dast\-e\-saaqii me.n aafataab aaye kar rahaa thaa Gam\-e\-jahaa.N kaa hisaab aaj tum yaad behisaab aaye har raG\-e\-Kuu.N me.n phir charaaGaa.N ho saamane phir wo be\-naqaab aaye 'faiz' kii raah sar\-ba\-sar ma.nzil ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye % the following were not in the version I heard umr ke har waraq pe dil kii nazar terii mehar\-o\-wafaa ke baab aaye is tarah apanii Kaamushii guu.Njii goyaa har simt se jawaab aaye #endindian \endsong