% ITRANS SONG \startsong \stitle{tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai}% \film{? (Non-Film)}% \year{}% \starring{}% \singer{}% \music{}% \lyrics{Nasir Kazmi}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 \printtitle #indian tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai diyaa saa raat bhar jalataa rahaa hai ajab hai raat se aa.Nkho.n kaa aalam ye dariyaa raat bhar cha.Dhataa rahaa hai sunaa hai raat bhar barasaa hai baadal magar wah shahar jo pyaasaa rahaa hai wo ko_ii dost thaa achchhe dino.n kaa jo pichhalii raat se yaad aa rahaa hai kise Dhuu.NDhoge in galiyo.n me.n 'naasir' chalo ab ghar chale.n din Dhal rahaa hai #endindian \endsong