% ITRANS SONG \startsong \stitle{wo dil\-nawaaz hai.n lekin nazar shanaas nahii.n}% \film{Mehfil-E-Shab (Non-Film)}% \year{}% \starring{}% \singer{Mehdi Hasan}% \music{}% \lyrics{}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 \printtitle #indian wo dil\-nawaaz hai.n lekin nazar shanaas nahii.n meraa ilaaj mere chaaraagar ke paas nahii.n kabhii kabhii jo tere kurb me.n guzaare the ab un dino.n kaa tasavvur bhii mere paas nahii.n guzar rahe hai.n ajab marahalo.n se diidaa\-o\-dil sahar kii aas to hai zi.ndagii kii aas nahii.n mujhe ye Dar hai terii aarazuu na miT jaaye bahut dino.n se tabiiyat merii udaas nahii.n tere dilo.n me.n bhii dil kaa.Np kaa.Np uThataa hai mere majaaj ko aasuudagii bhii raas nahii.n ta.Dap rahe hai.n zabaa.N par ka_ii sawaal magar mere liye ko_ii shaayaan\-e\-iltamaas nahii.n #endindian \endsong