% \startsong \stitle{saagar se suraahii Takaraatii baadal ko pasiinaa aa jaataa}% \film{}% \year{}% \starring{}% \singer{Pankaj Udhas}% \music{}% \lyrics{}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Faiz Syed (fsyed@sw.stratus.com) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % % Qataa, first... achii suurat ko sanwarney ki zuruurat kiya hai % saadgi bhii to qayamat ki adaa hoti hai % pilaana farz thaa kuch bhii pila diya hota % sharaab kum thi to paani mila diya hota % saagar se suraahii Takaraatii baadal ko pasiinaa aa jaataa tum zulf agar laharaa dete saavan kaa mahiinaa aa jaataa jiine kii adaa se naavaaqif inasaa.n ko bhii jiinaa aa jaataa tho.Dii sii agar tum de dete zaahid ko bhii piinaa aa jaataa kismat me.n naa thii.n ye do raate.n, ek pyaar kii ek tanahaa_ii kii ek raat me.n jiinaa aa jaataa ek raat me.n maranaa aa jaataa afasos tum apanii aa.Nkho.n se chhalakaa naa sake jhalakaa naa sake tho.Dii sii agar chhalakaa dete anavar ko bhii piinaa aa jaataa % #endindian \endsong %