% \startsong \stitle{tum bin jaauu.N kahaa.N, ke duniyaa me.n aake ##rafi/kishore##}% \film{Pyaar Ka Mausam}% \year{}% \starring{Shashi Kapoor, Asha Parekh}% \singer{Rafi / Kishore}% \music{R D Burman}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu) % C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % tum bin jaaU.N kahaa.N, ke duniyaa me.n aake kuchh na phir chaahaa kabhii tumako chaahake, tum bin \threedots dekho mujhe sar se kadam tak, sirf pyaar huu.N mai.n gale se lagaalo ke tumhaaraa beqaraar huu.N mai.n tum kyaa jaano ke bhaTakataa phiraa mai.n kis galii, tumako chaah ke \threedots ab hai sanam har mausam, pyaar ke kaabil pa.Dii jahaa.N chhaao.n hamaarii, saj gayii mahafil mahafil kyaa tanahaaI me.n bhii lagataa hai jii, tumako chaah ke \threedots % ##Kishore version: ## tum bin jaaU.N kahaa.N, ke duniyaa me.n aake kuchh na phir chaahaa kabhii, tumako chaahake, tum bin \threedots rah bhii sakoge tum kaise, ho ke mujhase judaa Dhah jaae.ngii diivaare.n, sun ke merii sadaa aanaa hii hogaa tumhe.n mere liye saathii mere, suunii raaha ke \threedots kitanii akelii sii pahale, thii yahii duniyaa tumane nazar jo milaa lii, bas gaI duniyaa dil ko milii jo tumhaarii lagan diye jal gae, merii aah se \threedots dekho mere Gam kii kahaanii, kisiise mat kahanaa kahii.n merii baat chale to, sunake chup rahanaa meraa kyaa hai kaT jaaegii kahii.n ye zi.ndagii, tumako chaah ke \threedots % #endindian \endsong %