% \startsong \stitle{tum kamasin ho / mai.n kamasin huu.N}% \film{Aayi Milan Ki Bela}% \year{1964}% \starring{Rajendra Kumar}% \singer{Rafi / Lata}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: % Credits: Surajit A Bose % Editor: Vinay P Jain % \printtitle #indian % ##Rafi version## tum kamasin ho, naadaa.N ho, naazuk ho, bholii ho sochataa huu.N mai.n ki tumhe.n pyaar naa karuu.N mad_hosh adaa ye alha.Dapan bachapan to abhii ruuThaa hii nahii.n ehasaas hai kyaa aur kyaa hai ta.Dap is soch me.n dil Duubaa hii nahii.n tum aahe.n bharo aur shikave karo ye baat hame.n ma.nzuur nahii.n tum taare gino aur nii.nd u.De vo raat hame.n ma.nzuur nahii.n ----- ##Lata version## mai.n kamasin huu.N, naadaa.N huu.N, naazuk huu.N, bholii huu.N thaam lo mujhe mai.n yahii iltijaa karuu.N hai dil kii lagan mai.n phuul banuu.N aur ha.Nsake tere pahaluu me.n rahuu.N tuu dekhe mujhe mai.n dekhuu.N tujhe aur pyaar me.n tere kho jaauu.N jis ma.nzil kaa raahii na koii vo seharaa hai, ma.nzil to nahii.n jis dil me.n koii dha.Dakan hii na ho vo patthar hai, koii dil to nahii.n % #endindian \endsong %