% \startsong \stitle{tum ne kisii kii jaan ko, jaate hue dekhaa hai}% \film{Rajkumar}% \year{}% \starring{Prithviraj Kapoor, Shammi Kapoor, Sadhana}% \singer{Rafi}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % tum ne kisii kii jaan ko jaate hue dekhaa hai vo dekho mujhase ruuThakar, merii jaan jaa rahii hai kyaa jaane kis qusuur kii, dii hai.n mujhe sazaae.n diivaanaa kar rahii hai.n, taubaa shikan adaae.n zulfo.n me.n mu.N chhupaakar, mujhako lubhaa rahii hai ghabaraa rahii hai Kud bhii, bechain ho rahii hai apane hii Kuun\-e\-dil me.n daaman Dubo rahii hai bejaan rah gae ham, vo muskaraa rahii hai mastii bharii havaao.n ab jaake rok lo tum tumako merii qasam hai samajhaa ke rok lo tum usakii judaaI dil par, nashtar chalaa rahii hai %%%%% (nashtar=lancet) % #endindian \endsong %