% \startsong \stitle{ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai}% \film{Kohinoor}% \year{}% \starring{Dilip Kumar, Meena Kumari}% \singer{Rafi}% \music{Naushad}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: Biju Parameshwaran (paramesh@enuxsa.eas.asu.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Sep 10 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % \printtitle #indian % zaKamo.n se kalejaa chuur huaa had ho ga_ii Gam me.n naalo.n kii kyaa huu.Nhii tabaahii hotii hai duniyaa me.n mohabbat\-vaalo.n kii ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai \-2 jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai \-2 kahii.n hai kafas me.n kisiikaa baseraa kahii.n hai nigaaho.n me.n Gam kaa a.ndheraa kahii.n dil kaa luTataa huaa kaaravaa.n hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai \-2 yahaa.N aadamii aadamii kaa hai dushman yahaa.N chaak inasaaniyat kaa hai daaman mohabbat kaa uja.Daa huaa aashiyaa.n hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai \-2 ye beraham duniyaa samajh me.n na aae yahaa.N kar rahe hai.n sitamaGar Kudaaii na jaane tuu ai duniyaavaale kahaa.N hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai \-2 ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai % #endindian \endsong %