% \startsong \stitle{ye lakhana_uu kii sar-zamii.n}% \film{Chaudhvin Ka Chaand}% \year{1960}% \starring{Guru Dutt, Rehman, Waheeda Rehman, Johnny Walker}% \singer{Rafi}% \music{Ravi}% \lyrics{Shakeel}% % % Contributor: Anuj Saxena % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 01/21/1996 % Credits: U.V. Ravindra, Sanjeev Ramabhadran % Editor: Rajiv Shridhar, Vinay P Jain % Comments: A few lines are repeated at the end of the film at slow speed. % \printtitle #indian % ye lakhana_uu kii sar-zamii.n ... ye lakhana_uu kii sar-zamii.n -5 ye ra.ng-ruup kaa chaman ye husn-o-ishq kaa vatan yahii to vo maqaam hai jahaa.N avadh kii shaam hai javaa.N-javaa.N hasii.n-hasii.n ye lakhana_uu kii sar-zamii.n -2 shabaab-o-sher kaa ye ghar ye ahl-e-ilm kaa nagar hai ma.nzilo.n kii god me.n yahaa.N har ek raah-guzar ye shahar laalaazaar hai yahaa.N dilo.n me.n pyaar hai jidhar nazar uThaaiye bahaar hii bahaar hai kalii-kalii hai naazanii.n ye lakhana_uu kii sar-zamii.n -2 yahaa.N kii sab ravaayate.n adab kii shaahakaar hai.n amiir ahl-e-dil yahaa.N Gariib jaa.N-nisaar hai.n har ek shaaKh par yahaa.N hai.n bulabulo.n ke chahachahe galii-galii me.n zi.ndagii qadam-qadam pe kahakahe har ik nazaaraa dilanashii.n ye lakhana_uu kii sar-zamii.n ye lakhana_uu kii sar-zamii.n ... ## Slow Speed ## yahaa.N ke dost baawafaa muhabbato.n se aashanaa kisii ke ho gae agar rahe usii ke umra bhar nibhaaii apanii aan bhii ba.Dhaaii dil kii shaan bhii hai.n aise meharabaan bhii kaho to de de.n jaan bhii jo dostii kaa ho yaqii.n ye lakhana_uu kii sar-zamii.n ... % #endindian \endsong %