% \startsong \stitle{do din ke liye mahamaan yahaa.N}% \film{Badal}% \year{1951}% \starring{Premnath, Madhubala}% \singer{Lata}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Shailendra}% % % Contributor: Preeti Ranjan Panda % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits:Hrishi Dixit, Hrishi Dixit % Editor: % \printtitle #indian % do din ke liye mahamaan yahaa.N maaluum nahii.n ma.nzil hai kahaa.N aramaan bharaa dil to hai magar jo dil se mile vo dil hai kahaa.N ek phuul jalaa ek phuul khilaa kuchh apanaa luTaa kuchh unako milaa kaise kare.n qisamat se gilaa ham kaise kare.n qisamat se gilaa ra.ngiin har ek mahafil hai kahaa.N do din ke liye \threedots duniyaa me.n saveraa hone lagaa is dil me.n a.ndheraa hone lagaa har zakhm sisak ke rone lagaa kis mu.Nh se kahe qaatil hai kahaa.N do din ke liye \threedots jalataa hai jigar uThataa hai dhuaa.N aa.Nkho.n se merii aa.Nsuu hai ravaa.N marane se ho jaaye dafaa jo marane se ho jaaye dafaa aisii ye merii mushkil hai kahaa.N do din ke liye \threedots % #endindian \endsong %