% ITRANS Song # % \startsong \stitle{Kaamosh hai jo ye vo sadaa hai ... ek saathii aur bhii thaa}% \film{L.O.C. Kargil}% \year{2003}% \starring{Sanjay, Ajay, Abhishek, Saif, Akshaye, Manoj, Nagarjuna}% \singer{Sonu Nigam}% \music{Anu Malik}% \lyrics{Javed Akhtar}% % % Audio on: SaReGaMa % Tags: War % Contributor: Amarendra R. Nargundkar % Transliterator: Amarendra R. Nargundkar % Date: 19 Dec 2005 % Series: % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20060924. % \printtitle #indian % Kaamosh hai jo ye vo sadaa hai vo jo nahii.n hai vo kah rahaa hai saathiyo tumako mile jiit\-hii\-jiit sadaa bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa jaa_o jo lauT ke tum, ghar ho Kushii se bharaa bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa kal parabato.n pe kahii.n, barasii thii.n jab goliyaa.N ham log the saath me.n, aur hausale the javaa.N ab tak chaTTaano.n pe hai.n, apane lahuu ke nishaa.N saathii mubaarak tumhe.n, ye jashn ho jiit kaa bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa kal tumase bichha.Dii hu_ii, mamataa jo phir se mile kal phuul\-cheharaa ko_ii, jab tumase milake khile paa_o tum itanii Kushii, miT jaa_e.N saare gile hai pyaar jinase tumhe.n, saath rahe.n vo sadaa bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa jab amn kii baa.Nsurii, guu.Nje gagan ke tale jab dostii kaa diyaa, in sarahado.n pe jale jab bhuulake dushmanii, lag jaa_e ko_ii gale jab saare insaano.n kaa, ho ek hii qaafilaa bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa jaa_o jo lauT ke tum, ghar ho Kushii se bharaa bas itanaa yaad rahe, ek saathii aur bhii thaa % #endindian \endsong