% ITRANS Song # % \startsong \stitle{ye raat bahut ra.ngiin sahii}% \film{Shagoon}% \year{1964}% \starring{Waheeda Rehman, Kamaljit}% \singer{Rafi}% \music{Khayyam}% \lyrics{Sahir}% % % Audio on: SaReGaMa % Tags: % Contributor: Amarendra R. Nargundkar % Transliterator: Amarendra R. Nargundkar % Date: 30 Aug 2006 % Series: Sahir: The Wizard Lyricist % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20060924. % \printtitle #indian % ye raat bahut ra.ngiin sahii ye raat bahut ra.ngiin sahii, is raat me.n Gam kaa zahar bhii hai naGamo.n kii khanak me.n Duubii hu_ii, fariyaad\-o\-fuGaa.N kii lahar bhii hai ye raat bahut ra.ngiin sahii tum raqs karo mai.n sher pa.Dhuu.N, matalab to hai kuchh Kairaat mile is qaum ke bachcho.n kii Kaatir, kuchh sikko.n kii sauGaat mile sikke to karo.Do.n Dhal\-Dhalakar, Takasaal se baahar aate hai.n kin vaaro.n me.n kho jaate hai.n, kin pardo.n me.n chhup jaate hai.n ye zulm nahii.n to phir kyaa hai, paise se to kaale dha.ndhe ho.n aur mulk kii vaaris naslo.n kii taaliim kii Kaatir cha.nde ho.n ab kaam nahii.n chal sakane kaa, raham aur Kairaat ke naare se is des ke bachche anapa.Dh hai.n, daulat ke Galat ba.NTavaare se badale ye nizaam\-e\-zaradaarii, badale ye nizaam\-e\-zaradaarii kah do ye siyaasatadaano.n se, ye masa'alaa hal hone kaa nahii.n kaaGaz pe chhape e'laano.n se ye masa'alaa hal hone kaa nahii.n, kaaGaz pe chhape e'laano.n se ye raat bahut ra.ngiin sahii, is raat me.n Gam kaa zahar bhii hai ye raat bahut ra.ngiin sahii % #endindian \endsong