% ITRANS Song #21396 % \startsong \stitle{aaKir tumhe.n aanaa hai zaraa der lagegii}% \film{Yalgaar}% \year{1992}% \starring{Naghma, Sanjay Dutt}% \singer{Sapna Mukherjee,Udit Narayan}% \music{Channi Singh}% \lyrics{Sudarshan Faakir}% % % Audio on: % Tags: % Contributor: Amarendra R. Nargundkar % Transliterator: Amarendra R. Nargundkar % Date: 29 Jan 2009 % Series: % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20090905. % \printtitle #indian % udit: ai merii hamaraaz, mujhako thaam le zi.ndagii se bhaagakar aayaa huu.N sapanaa: baarish ho rahii hai ye baarish naa hotii, to bhii naa aatii udit: aaKir tumhe.n aanaa hai, zaraa der lagegii (2) baarish kaa bahaanaa hai, zaraa der lagegii aaKir tumhe.n aanaa hai, zaraa der lagegii udit: jaan\-e\-man, aajaa ko_ii tumhe.n apanaa samajhakar aavaaz de rahaa hai sapanaa: tumane mujhe apanaa samajhaa hii kab tum to mujhe dushman samajhate ho udit: tum hote jo dushman, to ko_ii baat hii kyaa thii apano.n ko manaanaa hai, zaraa der lagegii (2) udit: merii jaa.N, mere dard\-e\-mohabbat kaa kuchh Kayaal karo sapanaa: sab kuchh bhulaa do, ye dard-e-mohabbat bhii miTaa do udit: ham dard mohabbat ka miTaa sakate hai.n lekin (2) ye rog puraanaa hai, zaraa der lagegii (2) sapanaa: ye ruumaanii a.ndaaz chho.Do jo kahanaa hai vo kah Daalo udit: ye baat nahii.n vo ke, mai.n aate\-hii sunaa duu.N (2) siine se, haay siine se lagaanaa hai, zaraa der lagegii (2) baarish ka bahaanaa hai, zaraa der lagegii aaKir tumhe.n aanaa hai, zaraa der lagegii o zaraa der lagegii (2) zaraa der lagegii (2) % #endindian \endsong