% \startsong \stitle{muskuraatii huii chaa.Ndanii}% \film{Albeli}% \year{}% \starring{}% \singer{Hemant, Lata}% \music{Ravi}% \lyrics{Ravi}% % % Contributor: Prithvi Dasgupta % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % la: muskuraatii huii chaa.Ndanii jagamagaataa huaa aasamaa.N le chale ho mujhe tum kahaa.N he: do muhabbat bhare dil jahaa.N kah sake pyaar kii daasataa.N le chale ham tumhe.n hai.n vahaa.N he: kah rahe hai.n nazaare pukaar ke biit jaae naa din ye bahaar ke la: sanasanaatii havaao.n ke giit ne taare.n chhe.De hai.n dil ke sitaar ke do: ye suhaanaa samaa hai uma.nge.n javaa.N phir khule kyo.N naa dil kii zubaa.N \threedots la: aaj kaisii suhaanii ye raat hai zi.ndagii me.n nayii ek baat hai he: in sitaaro.n kii ra.ngiin chhaa.Nv me do dilo kaa anokhaa ye saath hai do: ham tumhaare hue tum hamaare hue pyaar kaa muskuraayaa jahaa.N \threedots % #endindian \endsong %