% \startsong \stitle{bachanaa ai hasiino.n, lo mai.n aa gayaa}% \film{Ham Kisise Kam Nahin}% \year{}% \starring{Rishi Kapoor}% \singer{Kishore}% \music{R D Burman}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: Arun Verma (verma@CS.Cornell.EDU) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % bachanaa ai hasiino.n, lo mai.n aa gayaa hAy, bachanaa ai hasiino.n, lo mai.n aa gayaa husn kA aashiq, husn kA dushman apanii adA hai yaaro.n se judaa koras : hai ho hai, bachanaa \threedots hai, duniyA me.n nahii.n hai, aaj meraa saa dIvaanaa pyaar vaalo.n kii jubaa.n pe hai meraa hii taraanaa sabakii ra.ng bharii aa.Nkho.n pe aaj, chamak rahaa hai meraa hii nashaa koras : hai ho hai, bachanA \threedots jaam milate.n hai.n adab se, shaam detii hai salAmii giit jhukate hai labo.n pe, saaz karate hai.n gulaamii ho koI, paradaa yA bAdashaah, aaj to sab hai.n mujhape fidaa koras : hai ho hai, bachanaa \threedots ek ha.ngaamaa uThaa duu.n, mai.n to jaaU.n jidhar se jiit letA huu.N dilo.n ko, ek halkii sI najar se mahabuubo.n kii mahafil me.n aaj, chhaayii hai chhaayii hai merI hii adA koras : hai ho hai, bacahanaa \threedots % #endindian \endsong %