% \startsong \stitle{maaii rii mai.n kaase kahuu.N piir apane jiyaa kii}% \film{Dastak}% \year{1970}% \starring{Sanjeev Kumar, Rehna Sultan}% \singer{Lata / Madan Mohan}% \music{Madan Mohan}% \lyrics{Majrooh}% % % Contributor: Neha Desai % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Comments: % \printtitle #indian % maaii rii haa.N maaii rii mai.n kaase kahuu.N piir apane jiyaa kii maaii rii os nayan kii unake merii lagii ko bujhaaye naa tan man bhiigo de aake aisii ghaTaa koii chhaaye naa mohe bahaa le jaaye aisii lahar koi aaye naa os nayan kii unake merii lagii ko bujhaaye naa pa.Dii nadiyaa ke kinaare mai.n pyaasii pii kii Dagar me.n baiThaa mailaa huaa rii moraa aa.ncharaa mukhaDaa hai phiikaa phiikaa naino.n me.n sohe nahii.n kaajaraa koii jo dekhe maiyaa priit kaa vaase kahuu.n maajaraa pii kii Dagar me.n baiThaa mailaa huaa rii moraa aa.ncharaa laT me.n pa.Dii kaisii birahaa kii maaTii maaii rii \threedots aa.Nkho.n me.n chalate phirate roz mile piyaa baavare bai.nyaa kii chhai.nyaa aake milate nahii.n kabhii saa.Nvare duHkh ye milan kaa lekar kaah kaaruu.N kahaa.N jaau.N re aa.Nkho.n me.n chalate phirate roz mile piyaa baavare paakar bhii nahii.n unako mai.n paatii maaii rii \threedots % #endindian \endsong %