% \startsong \stitle{sapano.n kii suhaanii duniyaa ko}% \film{Shikast}% \year{1953}% \starring{Dilip Kumar, Nalini Jaywant, Durga Khote, K N Singh}% \singer{Talat}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Shailendra}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: Hrishi Dixit % Comments: The lyrics of the third stanza bear a resemblance to % Kishore's "jin raato ki bhor nahi hai" from Door Gagan Ki Chhaon % Me, also written by Shailendra. % \printtitle #indian % sapano.n kii suhaanii duniyaa ko aa.Nkho.n me.n basaanaa mushkil hai apano.n se bataanaa mushkil hai gairo.n se chhupaanaa mushkil hai meraa bachapan biit chukaa hai dil kaa la.Dakapan baakii hai mai.n apane aap ko samajhaa luu.N par dil ko manaanaa mushkil hai sapano.n kii suhaanii duniyaa ko \threedots ehasaan teraa kaise bhuuluu.N tere Gam ke sahaare zi.ndaa huu.N varanaa in jaatii saa.Nso.n kaa phir lauT ke aanaa mushkil hai sapano.n kii suhaanii duniyaa ko \threedots raah kisii kii huii na roshan meraa jalanaa yuu.N hii gayaa ham aag lagaa baiThe hai.n magar ye aag bujhaanaa mushkil hai sapano.n kii suhaanii duniyaa ko \threedots % #endindian \endsong %