% \startsong \stitle{tum besahaaraa ho to kisii kaa sahaaraa bano}% \film{Anurodh}% \year{1977}% \starring{Rajesh Khanna, Vinod Mehra}% \singer{Manna De, chorus}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: Uday Patel, K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Comments: % \printtitle #indian % tum besaharaa ho to kisii kaa sahaaraa bano tum ko apane aap hii sahaaraa mil jaayegaa kashtii koii Duubatii pahu.Nchaa do kinaare pe tum ko apane aap hii kinaaraa mil jaayegaa tum besahaaraa ho to \threedots ha.Ns kar zindaa rahanaa pa.Dataa hai apanaa duHkh khud sahanaa pa.Dataa hai rastaa chaahe kitanaa lambaa ho dariyaa ko to bahanaa pa.Dataa hai tum ho ek akele to ruk mat jaao chal nikalo raste me.n ko_ii saathii tumhaaraa mil jaayegaa tum besahaaraa ho to \threedots jiivan to ek jaisaa hotaa hai ko_ii ha.Nsataa ko_ii rotaa hai sabr se jiinaa aasaa.N hotaa hai fiqrase jiinaa mushkil hotaa hai tho.De phuul hai.n kaa.NTe hai.n jo taqadiir ne baa.NTe hai.n hum ko in me.n se hissaa hamaaraa mil jaayegaa tum besahaaraa ho to \threedots % % Sad version % Mukhada & 1st stanza are the same in both versions % tum besahaaraa ho to \threedots na bastii me.n na viiraano.n me.n na kheto.n me.n na khalihaano.n me.n na milataa hai pyaar bazaaro.n me.n na bikataa hai chain dukaano.n me.n Dhuu.Ndh rahe ho tum jis ko us ko baahar mat Dhuu.NDho man ke andar Dhuu.NDho priitam pyaaraa mil jaayegaa tum besahaaraa ho to \threedots % #endindian \endsong %