% \startsong \stitle{ari chho.D de pata.ng}% \film{Nagin}% \starring{Pradip Kumar, Vyjanthimala}% \year{1954}% \singer{Hemant, Lata}% \music{Hemant}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contirbutor: Prithviraj Dasgupta % Transliterator: Prithviraj Dasgupta % Date: April 17, 2002 % Availability: HMV CD Nagin/Anarkali sdtrk % Comments: Hemantda series #88 % \printtitle #indian % he: (ari chho.D de sajaniyaa chho.D de pata.ng merii chho.D de la: aise chho.Duu.N na balamawaa nainawaa ke Dor pahale jo.D de) \- 2 he: ashaa_o.n kaa maajhaa lagaa ra.ngii pyaar se Dorii tere muhalle u.Date u.Date aa_ii chorii chorii bairii duniyaa kahii.n na to.D de pata.ng merii chho.D de la: aise chho.Duu.N na balamawaa nainawaa ke Dor pahale jo.D de la: aramaano.n kii Dor luuTane kha.De hai duniyawaale baa.Nke charaKiiwaale he: uu.Nche niil gagan me chho.D de pata.ng merii chho.D de la: aise chho.Duu.N na balamawaa nainawaa ke Dor pahale jo.D de la: dekh chalii ye sa.ng hawaa ke balakhaatii iThalaatii saiyaa.N balakhaatii iThalaatii he: chiir ke bairii jag kaa siinaa giit pyaar ke gaatii dekho giit pyaar ke gaatii hai.n kis me itana zor jo kaaTe Dor saamane aa_e na la: phir merii aTariyaa pe chho.D de patan.g saiyaa.N chho.D de he: aise chho.Duu.N na sajaniyaa nainawaa ke Dor pahale jo.D de la: saiyaa.N chho.D de pata.ng merii chho.D de he: gorii nainawaa ke Dor pahale jo.D de la: saiyaa.N chho.D de pata.ng merii chho.D de % #endindian \endsong %