% \startsong \stitle{jhil-mil taare kare.n ishaare}% \film{Maashuqa}% \year{1953}% \starring{Suraiya, Mukesh, Kuldeep Kaur, Agha, Durga Khote}% \singer{Mukesh, Suraiyya}% \music{Roshan}% \lyrics{Shailendra}% % % Contributor : Dhananjay Naniwadekar (nani345@hotmail.com) % Transliterator : Dhananjay Naniwadekar % Date : 26 July 2002 % Credits : % Comments : % \printtitle #indian % mukesh : jhil\-mil taare kare.n ishaare so jaa so jaa, so jaa raaj_dulaare ban alabelii naar navelii nindiyaa nindiyaa aa_ii nain dvaare suraiyaa : (matalab kii a.Ndhii ye duniyaa) \- 2 (kaise hame.n pahachaane) \- 2 dil ke Tuka.De mere dil ke, (dard ko tuu hii jaane) \- 2 sab ko_ii soye par ham roye.n jaage.n jaage.n jaage.n Gam ke maare (su.ndar sapane dekh magar tuu moh na kar sapano.n se) \- 2 roz badalatii hai ye duniyaa (aas na kar apano.n se) \- 2 mukesh : dhuup\-chhaa.Nv kaa khel ye duniyaa (sukh\-dukh aas\-niraashaa) \- 2 (tere a.ngan ek chaa.Nd ek taaraa) \- 2 (a.nkhiyan chamake aashaa) \- 2 Dhal jaayegii raat a.Ndherii ho.nge, ho.nge sone ke din saare % #endindian \endsong %