% \startsong \stitle{chalo re Dolii uThaao kahaar}% \film{Jaani Dushman}% \year{1979}% \starring{Sunil Dutt, Shatru, Vinod Mehran, Jeetendra, Rekha, Reena, Yogeeta, Sareeka, Bindiya}% \singer{Rafi}% \music{Laxmikant-Pyarelal}% \lyrics{Varma Malik}% % % Contributor: Andy J. Lucyshyn (ajl@engr.ucf.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Mar 15 1996 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com) % Editor: % Comments: % \printtitle #indian % chalo re Dolii uThaao kahaar piiyaa milan kii rut aaii pii kii nagarii le jaao kahaar piiyaa milan kii rut aaii jin naino.n kii tuu hai jyotii un naino.n se barase motii daavaa nahii.n hai koii zor nahii.n hai beTii sadaa hii paraaii hotii jaldii naihar se le jaao, kahaar piiyaa milan kii rut aaii chhaaii hai dekho hariyaalii aaii hai rut khushiyo.n vaalii har aashaa parvaan (???) cha.Dhii din hai dasaharaa raat diivaalii gale Daal baaho.n kaa haar, kahaar piiyaa milan kii rut aaii tan maike man terii nagariyaa u.D jaauu.N mai.n banake badariyaa chaa.Nd nagar ko chalii chakorii pyaasii huu.N milan kii saa.Nvariyaa mere sapane sajaao, kahaar piiyaa milan kii rut aaii suunii pa.Dii bhaiyaa kii havelii vyaakul bahanaa rah ga_ii akelii jin sa.ng naachii jin sa.ng khelii chhuuT ga_ii vo sakhii sahelii ab na derii lagaao, kahaar piiyaa milan kii rut aaii % #endindian \endsong %