% \startsong \stitle{dekho mai.n ne dekhaa hai yah ik sapanaa}% \film{Love Story}% \year{}% \starring{Kumar Gaurav, Vijeyta Pandit}% \singer{Amit Kumar, Lata}% \music{R D Burman}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: David Windsor % Transliterator: David Windsor % Editor: Rajiv Shridhar % Date: 11/02/1996 % \printtitle #indian % a: dekho mai.n ne dekhaa hai yah ik sapanaa phuulo.n ke shahar me.n hai ghar apanaa kyaa samaa hai tuu kahaa.N hai la: mai.n aaii aaii aaii aaii a: aa jaa la: kitanaa hasiin hai yah ik sapanaa phuulo.n ke shahar me.n hai ghar apanaa kyaa samaa hai tuu kahaa.N hai a: mai.n aayaa aayaa aayaa aayaa la: aa jaa a: yahaa.N teraa meraa naam likhaa la: rastaa nahii.n yah aam likhaa hai a: ho, yah hai daravaazaa tuu jahaa.N kha.Dii hai la: andar aa jaao sardii ba.Dii hai a: yahaa.N se nazaaraa dekho parvato.n kaa la: jhaa.Nkuu.N mai.n kahaa.N se kahaa.N hai jharokhaa a: yah yahaa.N hai, tuu kahaa.N hai la: mai.n aaii aaii aaii \threedots la: achchhaa yah bataao kahaa.N pe hai paanii a: baahar bah rahaa hai jharanaa diivaanii la: bijalii nahii.n hai yahii ik Gam hai a: terii bi.ndiyaa kyaa bijalii se kam hai la: chho.Do mat chhe.Do baazaar jaao a: jaataa huu.N jaauu.Ngaa pahale yahaa.N aao shaam javaa.N hai tuu kahaa.N hai la: mai.n aaii aaiii aaii \threedots la: kaisii pyaarii sii hai yah chhoTii sii rasoii ho ham dono.n hai.n bas duujaa nahii.n koii is kamare me.n ho.ngii miiThii baate.n a: us kamare me.n guzare.ngii raate.n la: yah to bolo hogii kahaa.N pe la.Daaii a: mai.n ne vah jagah hii nahii.n banaaii pyaar yahaa.N hai tuu kahaa.N hai la: mai.n aaii aaii aaii \threedots % #endindian \endsong %