% \startsong \stitle{dil javaa.N hai aarazuu javaa.N}% \film{Samundari Daaku}% \year{1956}% \starring{Nasir Khan, Nadira, Johny Walker}% \singer{Talat, Asha}% \music{Jaidev}% \lyrics{Vishwamitra Adil}% % % Contributor: Arun Verma % Transliterator: Rajiv Shridhar % Credits: Balaji A.S. Murthy % Surajit A. Bose % Date: 10/26/1996 % \printtitle #indian % dil javaa.N hai aarazuu javaa.N ek nazar idhar bhii mehar_baa.N kab talak ye hamase beruKhii kab talak rahegii chup zubaa.N ye kyaa Gazab hai dilarubaa hai apane aap se Khafaa dharii rahegii har adaa jo dil kisii pe aa gayaa Guruur-e-dil rahegaa phir kahaa.N ek nazar idhar bhii ... vo husn kyaa jo ruuThake nigaah ko na pher le vo ishq kyaa jo chhe.Dake na zulf ko bikher de vo soz kyaa uThe na jo dhuaa.N ek nazar idhar bhii ... mai.n jaanataa huu.N ai parii jhukii-jhukii nazar terii uThii to haar jaayegii zaruur muskuraaegii na chhup sakegii dil kii daastaa.N ek nazar idhar bhii ... ajiib shai hai pyaar bhii ki jiit bhii hai haar bhii nashaa bhii hai Khumaar bhii Khizaa.N bhii hai bahaar bhii yahii hai do dilo.n kii daastaa.N ek nazar idhar bhii ... Guruur hai na shaan hai har ek adaa zubaan hai yah kaisaa imtahaan hai ki husn mehar_baan hai zamii.n pe jhuk rahaa hai aasamaa.N ek nazar idhar bhii ... ta.Dap qaraar ban ga_ii Khizaa.N bahaar ban ga_ii dabii-dabii jo aag thii kisii kaa pyaar ban ga_ii mai.n aa ga_ii vahii.n hai dil jahaa.N ek nazar idhar bhii ... % #endindian \endsong %