% \startsong \stitle{mujh se mat puuchh mere ishq me.n kyaa rakhaa hai}% \film{Anaarkali}% \year{1953}% \starring{Pradeep Kumar, Beena Rai}% \singer{Lata}% \music{C Ramchandra}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: SAMIUDDIN MOHAMMED (sm0e@Lehigh.EDU) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: Pavan Kumar Desikan (pkd@cs.duke.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % dil kii lagii hai kyaa, ye kabhii dil lagaake dekh aa.Nsuu bahaake dekh kabhii muskaraake dekh paravaanaa jal rahaa hai magar jal rahaa hai kyaa ye raaz jaananaa hai to khud ko jalaake dekh mujh se mat puuchh mere ishq me.n kyA rakhaa hai ek sholaa hai jo siine me.n chhuupaa rakhaa hai daag\-e\-dil daag\-e\-jigar daag\-e\-tamannaa lekar (2) mai.n ne viiraan bahaaro.n ko sajaa rakhaa hai mujh se mat puuchh hai zamaanaa jise betaab miTaane ke liye (2) mai.nne us yaad ko siine se lagaa rakhaa hai mujh se mat puuchh bhUlanevaale tujhe dard\-e\-muhabbat kii kasam (2) mai.n ne is dard me.n duniyA ko bhulaa rakh hai mujh se mat puuchh % #endindian \endsong %