% \startsong \stitle{hai priit jahaa.N kii riit sadaa}% \film{Poorab Aur Paschim}% \year{1970}% \starring{Manoj Kumar, Saira Banu}% \singer{Mahendra Kapoor}% \music{Kalyanji-Anandji}% \lyrics{Indeevar}% % % Contributor: Himanshu Bhatt (bhatt@ticipa.pac.sc.ti.com) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % jab ziiro diyaa mere bhaarat ne bhaarat ne mere bhaarat ne duniyaa ko tab ginatii aayii taaro.n kii bhaashhaa bhaarat ne duniyaa ko pahale sikhalaayii detaa nA dashamalav bhaarat to yuu.N chaa.Nd pe jaanaa mushkil thaa dharatii aur chaa.Nd kii duurii kaa a.ndaaz lagaanaa mushkil thaa sabhyataa jahaa.N pahale aayii pahale janamii hai jahaa.N pe kalaa apanaa bhaarat jo bhaarat hai jisake piichhe sa.nsaar chalaa sa.nsaar chalaa aur aage ba.Dhaa jyuu.N aage ba.Dhaa, ba.DhatA hii gayaa bhagavaan kare ye aur ba.Dhe ba.Dhataa hii rahe aur phuule\-phale %< madan puri (in his very unusal role) madanapurI: chup kyo.n ho gaye? aur sunaao hai priit jahaa.N kii riit sadaa mai.n giit vahaa.N ke gaataa huu.N bhaarat kaa rahane vaalaa huu.N bhaarat kii baat sunaataa huu.N kaale\-gore kA bhed nahii.n har dil se hamaaraa naataa hai kuchh aur na aataa ho hamako hame.n pyaar nibhaanaa aataa hai jise maan chukii saarii duniyaa mai.n baat vohii doharaataa huu.N bhaarat kaa rahane vaalaa huu.N bhaarat kii baat sunaataa huu.N jiite ho kisiine desh to kyaa hamane to dilo.n ko jiitaa hai jahaa.N raam abhii tak hai nar me.n naarii me.n abhii tak siitaa hai itane paavan hai.n log jahaa.N mai.n nit\-nit shiish jhukaataa huu.N bhaarat kaa rahane vaalaa huu.N bhaarat kii baat sunaataa huu.N itanii mamataa nadiyo.n ko bhii jahaa.N maataa kahake bulaate hai itanaa aadar insaan to kyaa patthar bhii puuje jaate.n hai is dharatii pe mai.nne janam liyaa ye soch ke mai.n itaraataa huu.N bhaarat kaa rahane vaalaa huu.N bhaarat kii baat sunaataa huu.N % #endindian \endsong %