% \startsong \stitle{ham dard ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai}% \film{Daag}% \year{1952}% \starring{Dilip Kumar}% \singer{Talat}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: Prince Kohli (pkohli@cc.gatech.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits Neha Desai % \printtitle #indian % bujh gaye Gam kii havaa se, pyaar ke jalate charaag bevafaa_ii chaa.Nd ne kii, pa.D gayaa isame.n bhii daag ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai piine ko sharaab\-e\-Gam, dil gam kaa nishaanaa hai (dil ek khilaunaa hai, taqadiir ke haatho.n me.n) \- 2 takadiir ke haatho.n me.n marane kii tamannaa hai, jiine kaa bahaanaa hai ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai (dete hai.n duaae.n ham) \- 2, (duniyaa kii jafaao.n ko)\- 2 kyo.n unako bhulaae.n ham, ab khud ko bhulaanaa hai ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai (ha.Ns ha.Ns ke bahaare.n to, shabanam ko rulaatii hai.n) \- 2 shabanam ko rulaatii hai.n aaj apanii muhabbat par, bagiyaa ko rulaanaa hai ham dad.r ke maaro.n kaa, itanaa hii fasaanaa hai % #endindian \endsong %