% \startsong \stitle{itanii naazuk naa bano, haay, itanii naazuk naa bano}% \film{Vaasna}% \year{}% \starring{}% \singer{Rafi}% \music{Chitragupt}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Credits: sanjeevr@phoenix.Princeton.EDU (Sanjeev Ramabhadran) % Ravi Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % itanii naazuk naa bano, haay, itanii naazuk naa bano hadake andar ho nazaakat to adaa hotii hai hadase ba.Dh jaaye to aap apanii sazaa hotii hai (itanii\threedots) jism kaa bojh uThaaye nahii.n uThataa tumase zi.ndagaanii kaa ka.Daa bojh sahogii kaise tum jo halakiisii havaao.n me.n lachak jaatii ho tez jho.nko.n ke thape.Do.n me.n rahogii kaise (itanii\threedots) ye naa samajho ke har ik raah me.n kaliyaa.n ho.ngii raah chalanii hai to kaa.nTo.n pe bhii chalanA hogaa ye nayaa daur hai is daur me.n jiine ke liye husn ko husn kaa andaaz badalanaa hogaa (itanii\threedots) koi rukataa nahii.n Thahare hue raahii ke liye jo bhii dekhegaa voh kataraake guzar jaayegaa ham agar vaqt ke hamaraah naa chalane paaye vaqt ham dono ko Thukaraake guzar jaayegaa (itanii\threedots) % #endindian \endsong %